Voice Of Islam
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Golden Rules

2 posters

Go down

Golden Rules Empty Golden Rules

Post by Ilma Tue Oct 23, 2007 4:33 pm

Golden Rules
(1)Islam kehta hai k jab wuzoo kia jay to hathon ko kuhniyon tak aour paon kotakhnon tak dhoya jay...science kehti hai k jab wuzoo men hatho ko kuhiyon tak aour paon ko takhnon tak dhoya jata hai jis se insan boht si beemariyon se bach sekta hai kiyoonkeh wazoo kernain se insan k jim ki hayat ko cuntrol men rekha ja sekta hai.yeh bat hamare peyare Aqa Sallallahu alayhe wasallam main 1400 saal pehlay farmai thi jise aaj science nain bhi aaj apni tehqeeqat k zareye tasleem kiya hai...
(2)Huzoor sallalahu alayhe wasallam ka farman-e-aali shan hai k jis gher men matti k bartan hon ferishtay us gher ki zeyarat kerty hain...science kehti hai k jo matti ke bartan main khata hai ya peeta hai is bartan ki ye hkhusoosiyat hoti hai k in men khanain peenain se bakteria se mehfooz reha ja sekta hai..aour is men minrels hoty hoty hain jo boht hi faydahmand hotay hain..yeh bat Aqa sallalahu alayhe wasallam nain 1400 saal pehly farmai thi..jise aaj science nen bhi tasleem kiya hai...
(3)Hazrat Ali (Raziallah o tala anho)nain fermaya keh jo din men 2 meal chalay woh beemar nahin ho ga..science kehti hai k jo insan din men 2 meal chalta hai to us ko heart problems se bachna aasan ho jata hai...
(4)Huzoor sallalahu alayhe wasallam nen farmaya khanain kaliy aik taang utha li jay aour doosri bicha li jay aour thorra sa jhuk ker betha jay...science kehti hai k jab ham apnain masalz per buht zeyadah presser daltay hain to kisi bhi khanain ko hazm kerna aasan ho jata hai aour science yeh bhi kehti hai k late ker bhi nahin khana chahiye.yeh bat Aqa sallalahu alayhe wasallam nain 1400 saal pehlay farmai thi jisy science nain bhi apni teqeeqat k zariye tasleem kia hai...
(5)Huzoor sallalahu alayhe wasallam nen farmaya k jab aap soyen to dain taraf ko munh ker len aour apnain hath Muhammad likha howa ki shakal men rekhain...science kehti hai k jab aap soyen to ulti karwat lay ker nah soyen kiyoonkeh is se aap ka heart problem kerta hai.ager seedhi kerwat soyen ge to aap ka dil ooper ho ga aour aap ki poori body thik tarah se kaam ker seky gi.Aqa sallalahu alayhe wasallam nain yeh bat 1400 saal pehlay farmai thi jisy aaj science nen bhi apni tehqeeqat se tasleem kia hai...
(6)Aik juraseem jis ka naam rebz hay.6 bar dhonain se jism se nahin uterta jab tak keh 7 baar nah dhoyen.aaj se sarrhy 1400 saal pehlay huzoor sallalahu alayhe wasallam nain yeh fermaya tha keh kutta aik najes janwar hai ager geela sath lag jay to 7 bhar dhoy baghayr jism ya kaprra paak nahin hota..
Ilma
Ilma

Female Number of posts : 182
Reputation : 0
Registration date : 2007-09-29

Back to top Go down

Golden Rules Empty Re: Golden Rules

Post by Ilma Tue Oct 23, 2007 4:35 pm

(7)khanain peenain ki chiz per phoonk nahin marni chahiye huzoor sallalahu alayhe wasallam nain farmaya k khanain wali kisi cheez per ager phoonk mara jay to woh makrooh ho jati hay yeh bat aap sallalahu alayhe wasallam nain 1400 saal pehlay farmai thi...aaj science nain bhi ise tasleem kia hai....
(CoolQuraan-e-paak perrhna aik boht hi ajr ka kam hay.aaj science nen bhi is bat ko tasleem kia hay.science kehti hay k Quran-e-pak k alfaz ki tarteeb kuch is tarah se hai k jab alfaz boly jatay hain to to un ki adaygi se jaise hi zuban tekrati hay is se peh boht hi acha asar perrta hay....
(9)jab pani piya jay to 3 ghoont men piya jay pehla ghoont chota doosra us se barra aour teesra us se barra liya jay isi tarah khatay howe achi tarah chabaya jay kam azkam 32 dafa chabaya jay...science kehti hai k jab pani peetain hai to aik nali hai jo pehla ghoont lenain se khul jati hai..jab doosra ghoont latay hain to aour khul jati hai isi tarah jab teesra ghoont latay hain to woh aour khul ati hay.isi tarah science kehti hai k jab aap khana zeyadah chaba ker khatay hain to zuban men aik madah paya jata hai jis ko salwa kehtay hain jab ham khanain ko zeyadah chabatay hain to woh madah jise salwa kehtay hain us main mill jata hai jis se khana boht hi achy tareeqay se hazm hota hai.huzoor salalallah o alaih e wasallam nen 1400 saal pehlay farmai thi jisy science nen bhi aaj apni tehqeeq k zariye tasleem kia hay....
(10)Huzoor salallah o alaih-e-wasallam nain farmaya k khajoor, pani ya namak se rozah aftar kia jay..science kehti hai k ager din men insan 8 khajooren kha lay to kamzori door ho jati hay.Huzoor salallah o alaih-e-wasallam nen yeh bat 1400 saal pehlay farmai thi jise science nen bhi aaj tasleem kia hay....
(11)ungliyon ka khalal sunnat-e-Rasool salallah o alaih-e-wasallam hay.science kehti hay k jo shakhs din men 5 martaba wuzoo k doran ungliyon ka khalal keray ga fangal infection se mehfooz rehay ga.Huzoor salallah o alaih-e-wasallam nain 1400 saal pehlay yeh bat farmai thi jisay science nen bhi aaj tasleem kia hay....\
Ilma
Ilma

Female Number of posts : 182
Reputation : 0
Registration date : 2007-09-29

Back to top Go down

Golden Rules Empty Re: Golden Rules

Post by Ilma Tue Oct 23, 2007 4:35 pm

(12)Huzooor salallah o alaih-e-wasallam nen farmaya k apnain pait k 3 hissay banao aik pani kaliye, aik khanain kaliye aour aik hawa kaliye khali chorr do..science kehti hai k jab pani khana aour hawa yeh 3non chizain milti hain to khana jaldi hazm hta hay..yeh bat aap salallah o alaih-e-wasallam nen 1400 saaal pehlay irshad farmai thi jise science nen bhi aaj apni tehqeeqat k zariye tasleem kia hay....
(13)Huzoor salallah o alaih-e-wasallm nen farmaya k apni moojnchon ko past kero..science kehti hai k naak se lay ker honton k ooper walay hissay ka talluq brain se hota hay is liye moonchain past rekhain to bal jarr ager ho jay to woh brain ko nuqsan us ko nuqsan nah pohncha sekay..yeh bat hamaray Aqa salallah o alaih-e-wasallam nen 1400 saal pehlay irshad farmai thi jse science nen bhi apni tehqeeqat k zariye tasleem kia hai....
(14)Huzoor salallah o alaih-e-wasallam ko loki mubarak boht pasand tha aour itna marghoob rekhtay thay k salan men se talash kertay thay.science kehti hai k yeh high fibertite hay jo insan k nizam e inhazam ko boht faydah pohunchata hai....
(15)Aqa salallah o alaih e wasallam nen farmaya k ghusal k 3 farz ada kero.pehlay day hissay per pani dalo phir bayen per aour phir sar per pani dalo..science kehti hai k aik beemari jis ko sirsam kehtay hain us beemari se bacha ja sekta hay ager kisi ko ho jay to aisa kernain se khatam ho sekti hay....Aqa salallah o alaih e wasallam nen 1400 saal pehlay farmai thi jisy scince nen bhi apni tehqeeqat k zariye tasleem kia hay....
(16)bigband thioori yeh kehti hay k yeh duniya kuch bhi nahin thi yeh aik zerra tha jab yeh phata to duniya bani phir aise hi dobarah phata to duniya simat gai yeni khatm ho gai....
(17)Huzoor salallah o alaih e wasallam nen farmaya k muslman bachy k kan men azan deni chahiye..scienc kehti hay k us k kan men ALLAH ki awaz takrati hay to is k tamam eza aoue masalz pur sukoon ho jatay hain aour us ko boht hi rahat mehoos hoti hay..Huzoor salallah o alaih e wasallam nen yeh bat 1400 saal pehlay irshad famai thi jisy science nen bhi aaj tasleem kia hai....
(18)Aqa salallah o alaih e wasallam ki sunnat mubarkah hai k apnain balon men tail lagatay thay..science kehti hay keh tail laganain se balon peh kooting ho jati hay aour is peh tahain ban jati hain jo balon ko nuqsan se bachati hain is ki wajah se tamam shampos men tail milaya jata hai jis ki wajah se baal boht hi khoobsoorat nazar aatay hain..hamare Aqa salallah o alaih e wasallam nen 1400 saal pehlay yeh bat farmai thi jise aaj scence nen bhi tasleem kia hai....
(19)Miswak kerna sunnat mubarkah hay..science kehti hay k miswak aik aisi chiz hay jo juraseem ko khatam kernen ki taqat rekhti hayitni koi bhi chiz danton ki hifazat nahin kerti jitni miswak kerti hay hamare Aqa salallah o alauih e wasallam nen 1400 saal pehlay yeh bat farmai thi jiay science nen aaj tasleem kia hai..
Ilma
Ilma

Female Number of posts : 182
Reputation : 0
Registration date : 2007-09-29

Back to top Go down

Golden Rules Empty Re: Golden Rules

Post by Rida Wed Oct 24, 2007 12:20 am

ya john the scientist have accepted that .the greatest and the first scientist of the world is MOHAMMED (saw).
Rida
Rida

Female Aries Number of posts : 78
Age : 38
Reputation : 0
Registration date : 2007-10-04

Back to top Go down

Golden Rules Empty Re: Golden Rules

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum