Voice Of Islam
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Talaaq

3 posters

Go down

Talaaq Empty Talaaq

Post by Hero Fri Oct 26, 2007 2:11 am

Bismilla

salam

humry mashray mein jo Talaaq ka tasawer hai wo hai kay koi bee husband apni biwi ko 3 dafa kah day ye words tu hamisha kay lia juda ho jatay hain

kia ye tareeqa he hai islam mein ?

main khod jis jamat se link rakhta hon wahan yahi tareeka raiyj hai lakin
main personaly samjta hoon k itna bee kacha reshta nahi ye

Talaaq 3 dafa kahany se nahi hoti balkay 3 marhalon mein hoti hai
is mein eik time jitni marzi dafa ye words kahin eik he count ho gee

ye meri zati raay hai k asa he hoga islaam mein bee kyun k itnay mazboot reshtay ka end ik he jhatkay mein nahi ho sakta

islam is baray mein kia kahta hai ?
Hero
Hero

Male Virgo Number of posts : 4
Age : 39
Location : Dhondh Lain
Job : wehlaa :D
Reputation : 0
Registration date : 2007-10-22

http://www.apniawaz.forumotion.com

Back to top Go down

Talaaq Empty Re: Talaaq

Post by Rida Tue Oct 30, 2007 1:27 am

Hzrat MUHAMMED SAW ka irshaad hai k 3 chaezain mazaak main bhi hoo jati hain aur unn ki asli niyaaat sa bhi 1: nikaah 2: talaaq 3: rajoo kar lana. (abu daood)



Talaaq ki 3 iksaam hain



1: talaaq-e-rajai



2: talaq-e-baaieen



3: talaaq-e-mughalizaa



inn k baray main tu aapkoo pata hoo ga



aap ka question hai k 3 dafa talaaq kahnay sa talaaq hoo jati hai yaa nahi………….



Tu jawaab yai hai k ……………

Imam shaafi imam abu haniffa…..imam ahmad … imam hanbal 3no k nazdeek talaaq alaag alaag marahil main di jai ya aik hee dafa main di jai talaaq wakiya hoo jati hai………………….



Yahi baat hazrat umer farooq ra k zamanay main thi ………..



Albata pahli talaaq k baad apas main sulhaa kar saktay hain jabk dosri talaaq k baad binna nikah k nahi mil saktay yani nikaah zaroori hai



Jab k tisree talaaq k baad koi raasta nahi hota



Yai sab ahkaam QURA’AN-O-SUNNAT ki roshni main main aapkoo bata rahi hoon



In k baad aap ki rai ya kisi bhi aur ki rai ki koi importance nahi rahti kion k deen aur QURA’AN na maira banaya howa hai na aapka .



It is gifted to us by ALLAH SWT,
Rida
Rida

Female Aries Number of posts : 78
Age : 38
Reputation : 0
Registration date : 2007-10-04

Back to top Go down

Talaaq Empty Re: Talaaq

Post by Hero Wed Nov 07, 2007 6:42 am

thanx Rida ap ne detail se jawab dia
lakin mujay eik baat ka jawab dain kay Quran mein Aya hai kay
Jab pahli talaaq do tu Rajoh ker lo
2nd Talaq Do tu phir rajhoh kia ja sakta hai

3rd k Baad koi talaq nahi rahy ga


Ab mujay ye baatain Kay Quran mein ye kahan lekha hai K

" 3 Dafa Kah denay se Talaq Ho jati hai "

jahan Tak Sorah Talaq mein Jesa Zikar hai os mein ye nahi lekha k ik he baar 3 dafa kah deny se reshta khatam ho jata hai ,
wahan lekha hai k 3 dafa "deny " se Talaaq hoti hai

tu agar ik he baar 3 dafa Talaaq Kah deny se Talaaq ho jati tu ye zikar Must hota kay ik saath 3 dafa Talaaq na dia kero
balkay her jagha ik talaaq k baad rajho ki baat hai 2nd k baad rajhoh kerny ki baat hai

Thats mean k eik saath 3 talaaq nahi ho saktin balkay eik time mein eik he hoti hai 2nd time dosari and 3rd time last wali ho jati hai

mujay ziyada pata nahi hai mera apna maslak yahi hai kay eik he time mein 3 ho jati hain lakin Quran pernay se asa laga kay asa shaiad nahi hota

walla ho alam bisawaab
Hero
Hero

Male Virgo Number of posts : 4
Age : 39
Location : Dhondh Lain
Job : wehlaa :D
Reputation : 0
Registration date : 2007-10-22

http://www.apniawaz.forumotion.com

Back to top Go down

Talaaq Empty Re: Talaaq

Post by Rida Wed Nov 07, 2007 2:31 pm

Smile .......QURAN main tu yai bhi likha k namaz kaisay parhni hai namaz koo phisically kaisay perform karna hai kia mujay aap koi aik bhi ayat dikha saktay hain jiss main aisa koi hukam hoo

nahi ....offcourse nahi...........

ALLAH SWT say .ateee ul allah ea atee ur rasool...............

it means ahadith are the much more imp part of our religion .......we gain explaination of QURA'AN from ahadith

then

nabi said mairay sahaba sitaroon ki manind hain tum unn k pichay chalooo .............

yai sab kahnay ka maksad just yai hai k aap k liya baat mazeed clear hoo k joo baat hamain QURA'AN main wazahat sa nahi milti hum uss koo sahaba k aqwaal aur amal sa gain kartay hain

that is the case of talaq .................

i think so now u got a point ................
Rida
Rida

Female Aries Number of posts : 78
Age : 38
Reputation : 0
Registration date : 2007-10-04

Back to top Go down

Talaaq Empty Re: Talaaq

Post by Rida Wed Nov 07, 2007 2:37 pm

ab aik baat sunain talaaq ka masla bohat bareek been hai ulmaa pori sorat haal koo dakhtay hain mard ki kafiyat k aya wo nashay ya gussay ki halat main tu nahi thaa ..............and so on aur issi tarhaan aurat k baray main bhi dakha jata hai aur tab pori situation koo dakhnay k baad talaaq koo nafaz kia jata hai.....

Smile ....now somthing else

iss baat koo mind sa kick out kar dain k aap religion koo apni aqal pa parakh saktay hain....its impossible ...... Smile

Rida
Rida

Female Aries Number of posts : 78
Age : 38
Reputation : 0
Registration date : 2007-10-04

Back to top Go down

Talaaq Empty Re: Talaaq

Post by romisa Sat Nov 10, 2007 12:52 am

Assalam-o-alaikum

please tell that what should be the duration between 2 adjesent talaq
romisa
romisa

Female Scorpio Number of posts : 12
Age : 38
Reputation : 0
Registration date : 2007-10-05

Back to top Go down

Talaaq Empty Re: Talaaq

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum